Yunhi umeed dilatey hain zamaney waley..

Bas yunhi umeed dilatey hain zamaney waley,
Laut kar to naheen aatey hain jaaney waley,
Mohabbat to lagti hai bheek ki maanind,
Khud hi nibhaatey hain nibhaney waley,
Kya zulm ka manzar hai ya khawb hai yeh,
Afsos bhi karte hain ghar jalaney waley..

Bana kar Taj Mahal kisi shehenshah ne..

Bana kar Taj Mahal kisi shehenshah ne dolat se,
Hum ghareebon ki mohabbat ka mazaq urraya hai..

Un ki raatain katein gi kese..

Un ki raatain katein gi kese,
Jin pe naazil ishq hua hai..

Woh mujhe zindagi samajhta hai..

Woh mujhe zindagi samajhta hai,
Kya usey mera aitbaar naheen..


Wafaa ki arzuu karna..

  Wafaa ki arzuu karna,.. saffar ki justujuu karna,
Jo tum mayuus ho jao, to mujhse guftguu karnamujhseguftgu..

Zameer marta hai ehsaas ki khamoshi se..

Zameer marta hai ehsaas ki khamoshi se,
Ye woh wafaat hai jis ki khabar nahi hoti..

Jamaa tum ho nahi sakte, Mujhe manfi se nafrat hai..

Jamaa tum ho nahi sakte,
Mujhe manfi se nafrat hai,
Tumhein takseem karta hon,
To haasil kuch nahi aata,
Koi qaaida, koi kuliyaa,
Na laagu tujh pe ho paaye,
Zarab tujh ko agar doon to ,
Hisabon mein khallal aaye,
Ikaayi ko, dahaayi par,
Mein doon nisbat to kaise doon?
Na qaalib ki tarha tum ho,
Na al-jabra se lagte ho,
Umer ye katt gayi meri,
Tujhe humdam samjhne mein,
Jo hall tera agar nikle,
To sab kuch hi ulajh jaye,
Sifar thi ibtidaa teri,
Sifar hi ab talak tum ho,
Sifar zarb-e-sifar ho tum,
Na jis se kuch faraq aaye…
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...