Zameer marta hai ehsaas ki khamoshi se..

Zameer marta hai ehsaas ki khamoshi se,
Ye woh wafaat hai jis ki khabar nahi hoti..

Jamaa tum ho nahi sakte, Mujhe manfi se nafrat hai..

Jamaa tum ho nahi sakte,
Mujhe manfi se nafrat hai,
Tumhein takseem karta hon,
To haasil kuch nahi aata,
Koi qaaida, koi kuliyaa,
Na laagu tujh pe ho paaye,
Zarab tujh ko agar doon to ,
Hisabon mein khallal aaye,
Ikaayi ko, dahaayi par,
Mein doon nisbat to kaise doon?
Na qaalib ki tarha tum ho,
Na al-jabra se lagte ho,
Umer ye katt gayi meri,
Tujhe humdam samjhne mein,
Jo hall tera agar nikle,
To sab kuch hi ulajh jaye,
Sifar thi ibtidaa teri,
Sifar hi ab talak tum ho,
Sifar zarb-e-sifar ho tum,
Na jis se kuch faraq aaye…

Ajab paheliyan hain hathon ki lakeeron..

Ajab paheliyan hain hathon ki lakeeron mein,
Safar hi safar likha hai hamsafar koi nahin..

Tumhari ankh ka aansu, Hamari ankh se niklaa..

Tumhari ankh ka aansu,
Hamari ankh se niklaa,
Shikayat ab bhi hai tumko,
Mohabbat hum nahin kartey..

Tum se bereham pe marney se…

Kya sunaatey ho ke hai hijar mein jeena mushkil,
Tum se bereham pe marney se to asaan ho ga..

Khushbuu ki tarah sheher mein aye..

Roz khushbuu ki tarah sheher mein aye Aslam,
Roz sheeshey ki tarah toot ke ghar jata hai..

Rail ki seetti mein kese hijr ki tamheed thi..

Rail ki seetti mein kese hijr ki tamheed thi,
Us ko rukhsat karke ghar lotay to andaaza hua..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...