Ajab paheliyan hain hathon ki lakeeron..

Ajab paheliyan hain hathon ki lakeeron mein,
Safar hi safar likha hai hamsafar koi nahin..

Tumhari ankh ka aansu, Hamari ankh se niklaa..

Tumhari ankh ka aansu,
Hamari ankh se niklaa,
Shikayat ab bhi hai tumko,
Mohabbat hum nahin kartey..

Tum se bereham pe marney se…

Kya sunaatey ho ke hai hijar mein jeena mushkil,
Tum se bereham pe marney se to asaan ho ga..

Khushbuu ki tarah sheher mein aye..

Roz khushbuu ki tarah sheher mein aye Aslam,
Roz sheeshey ki tarah toot ke ghar jata hai..

Rail ki seetti mein kese hijr ki tamheed thi..

Rail ki seetti mein kese hijr ki tamheed thi,
Us ko rukhsat karke ghar lotay to andaaza hua..

Nazron se dil ko nidhaal karte ho..

Yeh jo nazron se dil ko nidhaal karte ho,
Kartey to zulm ho magar kamaal karte ho..

Tasawur

Hina lagae hai tasawur ma hum tumharay hathoon ma 
Daikhtay hain ka tum kitnay khobsoorat lagtay ho

Bahare hussan



Wo aieena ma daikh rahe the bahar e hussan 

Aya mera khayal to sharma ka reh gae

Zalim maheenay

Mera kya rishta November, December, January say
Sab maheenay Zalim hain ishq ka faqeeron par
 

Kahat


Pehlay kabhe dunya sa mohabbat nahe mange 
Ye kahat teray hijar ka dooran para hai 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...