Soniye Lyrics from Heartless by Seema Saini

Aye khuda bata zara mujhe kya huaa
Pehli baar aise gumshuda dil mera ho gaya
Darbadar dhoondhe usey ab yeh nazar
Main bhi na jaanu ke
Kis kadar dil mera kho gaya
Jabse hai dekha tujhe
Yeh armaan sabhi roshan huve
Ek waari aaja
Tu dil mila ja zara Khuda ke liye

Soniye… ab yeh deewana dil
Bin tere kaise jiye
Soniye… saansein bhi chalti hain
Ab to bas tere liye
Soniye… (soniye..)
Soniye… soniye… soniye…

Kaisi aafat hai yeh jo chaahat sataaye
Din raat aahein bharun
Bin tere ab to saansein bhi na yeh bhaaye
Tu bata de main kya karoon
Chaahe jaan lele tu, dard dede tu
Hum to tere huve
Duniya bhula doon
Khud ko mita doon
Main ab to tere liye…

Soniye.. ab ye deewana dil
Bin tere kaise jiye
Soniye.. saansein bhi chalti hain
Ab to bas tere liye
Soniye.. (soniye..)
Soniye.. soniye.. soniye.. (soniye…)

I believe, i’m alive, and i’ve known*
Now this is love..

Tumse badhkar na koi hai is jahaan mein
Sare aam kehta hoon main
Door logon se, door duniya jahaan se
Tere dil mein rehta hoon main
Khud ko main tujhme aa qaid kar loon
Nishaan na mera mile
Chaahe aazma le, apna bana le
Mita de sabhi faasle…

Soniye.. ab yeh deewana dil
Bin tere kaise jiye
Soniye.. saansein bhi chalti hain
Ab to bas tere liye
Soniye.. (soniye..)
Soniye.. soniye.. soniye.. (soniye..)

rone se agar milti chahat es zamane ma

rone se agar milti chahat es zamane ma
to aj ik shehar hota mujh se wafa nibhane walo ma

G chahta hai ese mufat ma dil de don

G chahta hai ese mufat ma dil de don
itne masoom kharidar se kia lena dena

Jis din on ka deedaar ho jata hai

Jis din on ka deedaar ho jata hai
os rat sona duswar ho jata hai

Reza reza hai mera aks to herat ye hai mohsan

Reza reza hai mera aks to herat ye hai mohsan
mera aina salamt hai to phir tota kia hai

Shoq-e-safar aesa ke ek muddat se hum ne..

Hai shoq-e-safar aesa ke ek muddat se hum ne,
Manzil bhi nahin paayi, aur rasta bhi nahin badla..

Waar is qadar shadeed ke dushman hi karta..

Waar is qadar shadeed ke dushman hi karta,
Chehra magar zaroor kissi ashna’aa ka tha..

Tum raah mein chup chaap kharrey ho.

Tum raah mein chup chaap kharrey ho to gaye ho,
Kis kis ko batao gey ghar kyun naheen jaatey..


Jo kabhi be’panaah chahta tha..

Jo kabhi be’panaah chahta tha,
Ab mujh se panaah chahta hai..

Khudaa mujhey itnaa to moatbar kar de..

Mere khudaa mujhey itnaa to moatbar* kar de,
Mein jis makaan mein rehta hoon usko ghar kar de.
.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...