Waar is qadar shadeed ke dushman hi karta..
Waar is qadar shadeed ke dushman hi karta,
Chehra magar zaroor kissi ashna’aa ka tha..
Tum raah mein chup chaap kharrey ho.
Tum raah mein chup chaap kharrey ho to gaye ho,
Kis kis ko batao gey ghar kyun naheen jaatey..
Jo kabhi be’panaah chahta tha..
Jo kabhi be’panaah chahta tha,
Ab mujh se panaah chahta hai..
Khudaa mujhey itnaa to moatbar kar de..
Mere khudaa mujhey itnaa to moatbar* kar de,
Mein jis makaan mein rehta hoon usko ghar kar de.
.
Chahne Wale
Kaash Chahne Wale Humaisha Chahne Wale Hi Rehtey
Par Log Aksar Badal Jaate Hain Mohabbat Ho Jaane K Baad
Thaam Lon Main Hath Un Ka
Hasrat Hai K Thaam Lon Main Hath Un Ka Zor Se
Magar Kambakht Un Ki Chooriyon Pey Taras Aata Ha
Anjaam e Ishq Sunta Hoon
Anjaam e Ishq Sunta Hoon , Zara Ghor Se Suniye
Majbooriyan , Ruswaiyan , Tanhaiyan … Phr Moat
Jitna Gham Tha
Jitna Gham Tha , Tamaam Baqi He
Din To Guzra He , Sham Baqi He
udaai Ka Saal Rehta He
Tamaam Saal Badalta Nahen Koi Mosam
Tamaam Saal , Judaai Ka Saal Rehta He
Kabhi Qatra He Bohat
Tashnagi Ke Bhi Maqamat Hain Kyaa Kyaa Yaani
Kabhi Darya Nahen Kaafi , Kabhi Qatra He Bohat
Newer Posts
Older Posts
Home
Subscribe to:
Posts (Atom)