Pyar tha, mohabbat tha, ishq tha..

Pyar tha, mohabbat tha, ishq tha, adaa tha,
Wafaa bhi hoti to qayamat tha woh shakhss..

Shor hai, hungaama araayi hai..

Shor hai, hungaama araayi hai,
Zindagi, tu kahaan le aayi hai,
Nafsa nafsi ka ajeeb aalam hai,
Bheerr hai, magar tanhaai hai..

Lafzz kehne walon ka kuch nahin jata..

Lafzz kehne walon ka kuch nahin jata,
Lafzz sehney waley kamaal kartey hain..

Nahin ishq ka dard lazzat se khaali..

Nahin ishq ka dard lazzat se khaali,
Jisay zauq hai woh maza jaanta hai..

Tum bin meri zaat adhoori..

Tum bin meri zaat adhoori, Jese koi baat adhoori,
Hijar ke saarey din poorey, Lekin hai har raat adhoori..

Dekho veerani hi veerani hai..

Dekho veerani hi veerani hai,
Dasht to dekh ke ghar yaad aya..

Be-maayini sa lagta hai, ghar jana bhi..

Be-maayini sa lagta hai, ghar jana bhi,
Deewaron se takrana bhi, mar jana bhi..

Mohabbat ka khumaar utraa to tab saabit hua..

Mohabbat ka khumaar utraa to tab saabit hua,
Woh jo manzil ka rasta tha, be-maksad safar niklaa..

Tafarqa daalna aur aag lagatey rehna..

Tafarqa* daalna aur aag lagatey rehna,
Apne ghar ki bhi magar kher manatey rehna..

Mein kisi kaam main masroof, Betha hota hoon..

Aksar aesa hota hai,
Mein kisi kaam main masroof,
Betha hota hoon,
Ke achaanak…
Apne daaye’n baaye’n,
Aagey peechey,
Kuch dhoondne lagta hoon,
Yun lagta hai,
Ke jese,
Apni koi baish-keemat* cheez,
Kahin rakh ke bhool geya hoon…
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...