Be bassi

To bichar raha hai soch la tera hath ma ha mare zindagi
Tujha chorna mare mout ha mare be bassi ka khayal rakh

Aieena

Hum jo toota to is tarha toota 
Jaisa pathar par gir ka koi shafaf aieena toota

Boojhal sham

Chand nikla na di tum na dastak
Aaj ke shaam kitni boojhal hai

Koi samajhayiye ki kya rang hai maikhane ka

koi samajhayiye ki kya rang hai maikhane ka
aankh saqi ke uthe, nam ho paimane ka

garmi-e-shama ka afasana sunanevalo
raqs dekha nahi tum ne abhi paravane ka

chashm-e-saqi mujhe har gam pe yad aati hai
rasta bhool na jaun kaheen maikhane ka

ab to har sham guzarati hai isi kuche mein
ye natija hua naseh tere samajhane ka

ab to har manzil se guzarna to hai aasan “iqbal”
ishq hai nam khud apne se guzar jane ka

Kis se puchen hum ne kahan wo chehara-e-roshan dekha hai

kis se puchen hum ne kahan wo chehara-e-roshan dekha hai
mehfil mehfil dhundh chuke hain gulshan gulshan dekha hai
kis ko dekhen kis ko na dekhen, phul bhi hain kaliyan bhi magar
jis se lagayi aankh usi ko dil ka dushman dekha hai
rang-e-bahar-e-subah-e-gulistan kya dekhe wo diwana
jis ki nazar ne ek hi gul mein sara gulshan dekha hai
ahl-e-wafa ke khoon ke chinten dur tak udakar jati hain
mera tadapana dekhane wale apna bhi daman dekha hai?
aj unhen jo chahe samajh lo warna yahi ‘taskin’ hain jinhen
kal tak hum ne ku-e-butan mein khakbadaman dekha hai

Ya to mit jaiye ya mita dijiye

Ya to mit jaiye ya mita dijiye
kijiye jab bhi sauda khara kijiye
ab jafa kijiye ya wafa kijiye
aakhari waqt hai bas dua kijiye
apne chehare se zulfen hata dijiye
aur phir chand ka samana kijiye
har taraf phul hi phul khil jayenge
aap aise hi hanste raha kijiye
aap ke ye hansi jaise ghungaru baje
aur qayamat hai kya ye bata dijiye

Ye dil kabhi na muhabbat mein kamayab hua

Ye dil kabhi na muhabbat mein kamayab hua
mujhe kharab kiya, aap bhi kharab hua
ajal men, zist mein turabat men, hashr mein zalim
tere sitam ke liye main hi intakhab hua
nigah-e-mast ko saqi ke kon de ilzam
mera nasib ki rusava mera shabab hua
hamare ishq ke das-bis ne bhi dad na di
kisi ka husn zamane mein intakhab hua
fana ka dawa hazaron ko tha zamane mein
habab ne mujhe dekha to aab-ab hua

Ye din bahar ke ab ke bhi ras na aa sake

Ye din bahar ke ab ke bhi ras na aa sake
ki gunche khil to sake khil ke muskura na sake
meri tabahi dil par to raham kha na saki
jo roshni mein rahe roshni ko pa na sake
na jane aah! ki un aansuon pe kya guzri
jo dil se aankh tak aaye mishgan tak aa na sake
rahen khulus-e-muhabbat ke hadasat jahan
mujhe to kya mere naqsh-e-qadam mita na sake
karenge mar ke baqa-e-davam kya hasil
jo zinda reh ke muqam-e-hayat pa na sake
naya zamana banane chale the divane
nai zamin, naya aasaman bana na sake

Ye kya jagah hai dosto ye kon sa dayar hai

Ye kya jagah hai dosto ye kon sa dayar hai
hadd-e-nigah tak jahan gubar hi gubar hai
ye kis mukam par hayat mujh ko leke aa gai
na bas khushi pe hai jahan na gham pe ikhtiyar hai
tamam umr ka hisab mangati hai zindagi
ye mera dil kahe to kya ye khud se sharmsar hai
bula raha kya koi chilamanon ke us taraf
mere liye bhi kya koi udas beqarar hai
na jis ke shakl hai koi na jis ka naam hai koi
ik aisi shai ka kyon hamen azal se intazar hai

Ye kis khalish ne phir is dil mein aashiyana kiya

Ye kis khalish ne phir is dil mein aashiyana kiya
phir aj kis ne sukhan hum se gayebana kiya
gam-e-jahan ho, rukh-e-yar ho ke dast-e-udu
salook jis se kiya hum ne aashiqana kiya
the khak-e-rah bhi hum log qahar-e-tufan bhi
saha to kya na saha aur kiya to kya na kiya
khusha ke aj har ik muddai ke lab par hai
wo raz jis ne hamen rand-e-zamana kiya
wo hilagar jo vafaju bhi hai jafakhu bhi
kiya bhi “faiz” to kis but se dostana kiya
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...