Khusbo sanson mein

Tere Wajood Ki Khusboo Basi Hai Sanson Main

Ye Aur Baat Hai Nazron Se Door Rehte Ho

Ye jo hai hukm mere pas na aaye koi

Ye jo hai hukm mere pas na aaye koi
is liye ruth rahe hain ki manaye koi
tak mein hai nigah-e-shauq khuda khair kare
samane se mere bachata hua jaye koi
hal afalaq-o-zamin ka jo bataya bhi to kya
baat wo hai jo tere dil ke bataye koi
aapane ‘dag’ ko muh bhi na lagaya afsos
us ko rakhta tha kaleje se lagaye koi
ho chuka aish ka jalasa to mujhe khat bheja
aap ke tarah se mehaman bulaye koi

Silsila dil dari ka

Chalta Rehne Do Dosto Silsila Dil _Dari ka,

Ishq Taleem Nahi Jo, Mukammal Ho Jaaye.!!

Aik dorsay ke wastay

EIK DOSRAY KY WASTAY DONO BANAY

WASI

GULDAN MERA DIL TRI YAAD PHOOL HAI

Saahil

Chup chap na la jay samundar ko utha kar 
Ya shaks jo sahil par klhara soch raha hai

Ab kon se mausam se koi aas lagaye

Ab kon se mausam se koi aas lagaye,
Barsaat mein bhi yaad na jab un ko hum aye..

Bewafayi ki intehaa kar de

Bewafayi ki intehaa kar de,
Ta’key maloom ho wafaa kya hai..

Aisi hi sard sham thi wo bhi

Aisi hi sard sham thi wo bhi
jab wo mahandi rachaye hathon mai
apani aahat ke khauf se larazan
surkh aanchal mai muh chipaye hue
apne khat mujh se lene aayi thi
us ke sahami hui nigahon mai
kitni khamosh iltijayen thin
us ke chehare ke zard rangat mai
kitni majaburiyon ke saye the
mere hathon se khat pakadate hi
jane kya soch kar achanak wo
mera shana pakad kar roi thi
us ke yaqut rang honton ke
kapkapate hue kinaron par
saikadon ankahe fasane the
sard shamon mai der tak aksar
jab ye manzar dikhai deta hai
ek lamha hinai hathon se
mujh ko apani taraf bulata hai
hum nasheen ruth kar na ja mujh se
aisi hi sard sham thi wo bhi

Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar

–MALE–
Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar
Sun Sadaayein De Rahi Hain Manzil Pyaar Ki
Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar
Sun Sadaayein De Rahi Hain Manzil Pyaar Ki

Ab Hai Judaai Ka Mausam, Do Pal Ka Mehmaan
Kaise Naa Jaayega Andhera, Kyoon Naa Thamega Toofan


–FEMALE–
Ab Hai Judaai Ka Mausam, Do Pal Ka Mehmaan
Kaise Naa Jaayega Andhera, Kyoon Naa Thamega Toofan
Kaise Naa Milegi Manzil Pyaar Ki
Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar
Sun Sadaayein De Rahi Hain Manzil Pyaar Ki

Pyaar Ne Jahan Pe Rakha Hai Jhoomke Kadam Ek Baar
Vahin Se Khula Hai Koi Rasta, Vahin Se Giri Hai Deewaar

–MALE–
Pyaar Ne Jahan Pe Rakha Hai Jhoom Ke Kadam Ek Baar
Vahin Se Khula Hai Koi Rasta, Vahin Se Giri Hai Deewaar
Roke Kab Ruki Hai Manzil Pyaar Ki

–FEMALE–
Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar
Sun Sadaayein De Rahi Hai Manzil Pyaar Ki

–MALE–
Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar
Sun Sadaayein De Rahi Hai Manzil Pyaar Ki

Dil jalne ke bat karte ho

Dil jalne ke bat karte ho
aashiyane ke bat karte ho
hum ko apni khabar nahi yaron
tum zamane ke bat karte ho
sari duniya ke ranj-o-gam de kar
muskurane ke bat karte ho
zikr mera suna to chid ke kaha
kis divane ke bat karte ho
hadasa tha guzar gaya hoga
kisake jane ke bat karte ho
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...