Saahil

Chup chap na la jay samundar ko utha kar 
Ya shaks jo sahil par klhara soch raha hai

Ab kon se mausam se koi aas lagaye

Ab kon se mausam se koi aas lagaye,
Barsaat mein bhi yaad na jab un ko hum aye..

Bewafayi ki intehaa kar de

Bewafayi ki intehaa kar de,
Ta’key maloom ho wafaa kya hai..

Aisi hi sard sham thi wo bhi

Aisi hi sard sham thi wo bhi
jab wo mahandi rachaye hathon mai
apani aahat ke khauf se larazan
surkh aanchal mai muh chipaye hue
apne khat mujh se lene aayi thi
us ke sahami hui nigahon mai
kitni khamosh iltijayen thin
us ke chehare ke zard rangat mai
kitni majaburiyon ke saye the
mere hathon se khat pakadate hi
jane kya soch kar achanak wo
mera shana pakad kar roi thi
us ke yaqut rang honton ke
kapkapate hue kinaron par
saikadon ankahe fasane the
sard shamon mai der tak aksar
jab ye manzar dikhai deta hai
ek lamha hinai hathon se
mujh ko apani taraf bulata hai
hum nasheen ruth kar na ja mujh se
aisi hi sard sham thi wo bhi

Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar

–MALE–
Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar
Sun Sadaayein De Rahi Hain Manzil Pyaar Ki
Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar
Sun Sadaayein De Rahi Hain Manzil Pyaar Ki

Ab Hai Judaai Ka Mausam, Do Pal Ka Mehmaan
Kaise Naa Jaayega Andhera, Kyoon Naa Thamega Toofan


–FEMALE–
Ab Hai Judaai Ka Mausam, Do Pal Ka Mehmaan
Kaise Naa Jaayega Andhera, Kyoon Naa Thamega Toofan
Kaise Naa Milegi Manzil Pyaar Ki
Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar
Sun Sadaayein De Rahi Hain Manzil Pyaar Ki

Pyaar Ne Jahan Pe Rakha Hai Jhoomke Kadam Ek Baar
Vahin Se Khula Hai Koi Rasta, Vahin Se Giri Hai Deewaar

–MALE–
Pyaar Ne Jahan Pe Rakha Hai Jhoom Ke Kadam Ek Baar
Vahin Se Khula Hai Koi Rasta, Vahin Se Giri Hai Deewaar
Roke Kab Ruki Hai Manzil Pyaar Ki

–FEMALE–
Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar
Sun Sadaayein De Rahi Hai Manzil Pyaar Ki

–MALE–
Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar
Sun Sadaayein De Rahi Hai Manzil Pyaar Ki

Dil jalne ke bat karte ho

Dil jalne ke bat karte ho
aashiyane ke bat karte ho
hum ko apni khabar nahi yaron
tum zamane ke bat karte ho
sari duniya ke ranj-o-gam de kar
muskurane ke bat karte ho
zikr mera suna to chid ke kaha
kis divane ke bat karte ho
hadasa tha guzar gaya hoga
kisake jane ke bat karte ho

Khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai

khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai
aisi tanhai ki mar jane ko jee chahata hai
ghar ke vahshat se larazata hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko jee chahata hai
dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko jee chahata hai
kabhi mil jaye to raste ke thakan jag pade
aisi manzil se guzar jane ko jee chahata hai
wohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko jee chahata hai

Matti Ki Mehak Aur Ye Barish


Matti Ki Mehak Aur Ye Barish Ki Cham Cham

Yaado'n Ko Meri Rooh Mein Piro Jati Hain Aksar..!!...


Peshaniyon pe likhe muqaddar nahi mile

Peshaniyon pe likhe muqaddar nahi mile
dastar kahan milenge jahan sar nahi mile
aavaragi ko dubate suraj se rabt hai
magrib ke bad hum bhi to ghar par nahi mile
kal aainon ka jashn hua tha tamam raat
andhe tamashbinon ko pathar nahi mile
main chahata tha khud se mulaqat ho magar
aaine mere qad ke barabar nahi mile
pardes ja rahe ho to sab dekhte chalo
mumkin hai vapas aao to ye ghar nahi mile

Phoolon Se Tera Naam

Humne Hamare Ishq Ka, Izhaar Yun Kiya,
Phoolon Se Tera Naam, Pathron Pe Likh Diya
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...