Abi To khushk hai Moasm


Abi To khushk hai Moasm... Jo Barish ho To Sochain Gy

K Hum Ne Apne Armaano ko Kis Matti Me Bona hai


Chal kuch dair intzar krain


Chal kuch dair intzar krain

Shayed k us k dil se
Badgumani ki braf pigal jay
Shayed k us ki ana ka suraj 
Aik din dhal jay......... .......


Shayed k wo kuch hum se
Milny ko machal jay
Chalo kuch dair intzar krain
Ho sakta hai wo.......... ....

Ana ki diwar gira daly 
Ho sakta hai wo ............
ehd-e wafa nibha daly 
Ho sakta hai wo ............ .

Humain akhri baar bula daly 
Chalo kuch dair intzar krain 
Mumkin hai apni qismat main b
Koi kamal ho jay ............ .....
Us ka dil b hmari trah 

Dard se behal ho jay........
Khushiyon ki arzu main 
Wo b nadhal ho jay.........

Chalo kuch dair intzar krain 
Apny muqader ki ............ ..
Tareek raton k jany ka
Us bichry huay dost k lot aany ka
Kash us ko b khyal aay
Humain manany ka.......... ..


Chalo kuch dair intzar krain 
Kuch dair aur khud ko 
Beqara krty hain ............ .


Chalo tmhary liay ............ .
Shikasat ka iqrar krty hain 
Shayed k tum lot aao 
Tumhara intzar krty hain 
Chalo k phir tajdeed-e muhabbat 
Aik baar krty hain ...


Bahar saray chaman ki aaeen hoti hai

Bahar saray chaman ki aaeen hoti hai,
Bahaar chand guloon ki hansi ka naam nahi..

Bohat Be-Kaif Lamhey Hai'n


Bohat Be-Kaif Lamhey Hai'n.........Ajab Bojhal Si Zindgi Hy

Na Ghum Sey Dill Behelta Hy Na Khushia'n Raas Aati Hai'n.


Kon jeetey ga un se baton me..

Kon jeetey ga un se baton me,
Jin ki ankhen kalaam karti hon..

Kitaab-e-IshQ Likhny


Kitaab-e-IshQ Likhny Ki Mujhe Fursat Nahi Saahib

Abi Tak Bewafai Pr Meri Tehreer Jari Hai


Ujarr Gaye Na Sar

Ujarr Gaye Na Sar Se Paawo'n Tak,

Karo Karo, Or Muhabbat Karo.. :-...........


Uss zulf ki, us ke lab ki batain..

Uss zulf ki, us ke lab ki batain,
Yaad ayin mujhe, ghazzab ki batain..

Tau aik waqat tha

Tau aik waqat tha jisko bhula dia mai ne
har aik yaad ka gulshan jala dia mai ne

wo piyaar jiske kasidey kayee likhe the kabhi
kitab-e-dil se wo unwaan mita dia mai ne

thi apni manzile hasrat jo ik mohabat ki
usey mazaar ka manzar bana dia mai ne

na tumse koi gila hai na ab shikayat hai
tumhari raah se khudko hata dia mai ne

nazar mila ke jo dekho gay jaan jaao gay
ke kesey tum ko nazar se gira dia mai ne

meri wafa ka janaza tha is qadar ghamgeen
ke patharoon ko bhi gham se rula dia main ne


Kis se mehroomi e qismat ki shikayat kijiye..

Kis se mehroomi e qismat ki shikayat kijiye,
Hum ne chaha tha ke mar jayn so wo bhi na hua..
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...