Dono Jahan Teri Mohabbat Main Har K

Dono Jahan Teri Mohabbat Main Har K
Wo Ja Raha Hai Koi Shab-E-Gam Guzar K

Viran Hai Maikada Khum-O-Sagar Udas Hai
Tum Kya Gaye K Ruth Gaye Din Bahar K

Ik Fursat-E-Gunah Mili, Wo Bhi Char Din
Dekhe Hain Ham Ne Hausale Parvar-Digar K

Duniya Ne Teri Yad Se Begana Kar Diya
Tujh Se Bhi Dil Fareb Hain Gam Rozagar K

Bhule Se Muskura To Diye The Wo Aj ‘Faiz’
Mat Puch Val-Vale Dil-E-Na-Kardakar K

Dil Main Ab Yun Tere Bhule Huye Gam Ate Hain

Dil Main Ab Yun Tere Bhule Huye Gam Ate Hain
Jaise Bichre Huye Kabe Main Sanam Ate Hain

Ik Ik Kar K Huye Jate Hain Tare Raushan
Meri Manzil K Taraf Tere Qadam Ate Hain

Raqs-E-May Tez Karo, Saz K Lay Tez Karo
Su-E-Maikhana Safiran-E-Haram Ate Hain

Kuch Hamin Ko Nahin Ehsan Uthane Ka Dimag
Wo To Jab Ate Hain Mail-Ba-Karam Ate Hain

Aur Kuch Der Na Guzare Shab-E-Furqat Se Kaho
Dil Bhi Kam Dukhta Hai Wo Yad Bhi Kam Ate Hain

Dasht-E-Tanhai Main Ai Jan-E-Jahan Larzn Hain

Dasht-E-Tanhai Main Ai Jan-E-Jahan Larzn Hain
Teri Avaz K Saye Tere Honthon K Sarab
Dasht-E-Tanhai Main Duri K Khas-O-Khak Tale
Khil Rahe Hain Tere Pahlu K Saman Aur Gulab

Uth Rahi Hai Kahin Qurbat Se Teri Sans Ki Anch
Apni Khushbu Main Sulagti Hui Madham Madham
Dur Ufaq Par Chamakati Hui Qatra Qatra
Gir Rahi Hai Teri Dildar Nazar Ki Shabnam

Us Qadar Pyar Se Ai Jan-E Jahan Rakha Hai
Dil K Rukhsar Pe Is Vaqt Teri Yad Ne Hath
Yun Guman Hota Hai Garche Hai Abhi Subah-E-Firaq
Dhal Gaya Hijr Ka Din A Bhi Gai Vasl Ki Rat

Chand Roz Aur Meri Jan

Chand Roz Aur Meri Jan Faqat Chand Hi Roz
Zulm K Chanw Main Dam Lene Par Majbur Hain Ham
Ik Zara Aur Sitam Sah Len Tarap Len Ro Len
Apne Ajdad Ki Miras Hai Mazur Hain Ham

Jism Par Qaid Hai Jazbat Pe Zanjire Hai
Fikr Mahbus Hai Guftar Pe Taziren Hain
Aur Apni Himmat Hai K Ham Phir Bhi Jiye Jate Hain
Zindagi Kya Kisi Muflis K Qaba Hai
jis main har ghari dard k paiband lage jate hain

Lekin ab zulm k miyad k din thore hain
Ik Zara Sabr K Fariyad K Thore Hain

Arsa-E-Dahar K Jhulsi Hui Wirani Main
Ham Ko Rahna Hai Par Yun Hi To Nahin Rahna Hai
Ajnabi Hathon Ka Benam Garan-Bar Sitam
Aj Sahna Hai Hamesha To Nahin Sahna Hai

Ye Teri Husn Se Lipti Hui Alam Ki Gard
Apni Do Roza Jawani Ki Shikaston Ka Shumar
Chandani Raton Ka Bekar Dahakta Hua Dard
Dil K Besud Tarap Jism Ki Mayus Pukar

Chand Roz Aur Meri Jan Faqat Chand Hi Roz

Chand Nikle Kisi Janib Teri Zebai Ka

Chand Nikle Kisi Janib Teri Zebai Ka
Rang Badle Kisi Surat Shab-E-Tanhai Ka

Daulat-E-Lab Se Phir Ai Khusraw-E-Shirin-Dahan
Aj Riza Ho Koi Harf Shanasai Ka

Dida-O-Dil Ko Sambhalo K Sar-E-Sham-E-Firaq
Saz-O-Saman Baham Puhuncha Hai Ruswai Ka

Bol K Lab Azad Hain Tere

Bol K Lab Azad Hain Tere
Bol Zaban Ab Tak Teri Hai

Tera Sutawan Jism Hai Tera
Bol K Jan Ab Tak Teri Hai

Dekh K Ahangar K Dukan Main
Tund Hain Shole Surkh Hai Ahan

Khulne Lage Quflon K Dhane
Phaila Har Ek Zanjir Ka Daman

Bol Ye Thora Waqt Bahot Hai
Jism-O-Zaban K Maut Se Pahle

Bol K Sach Zinda Hai Ab Tak
Bol Jo Kuch Kahna Hai Kah Le

Bahar Ai To Jaise Ek Bar

Bahar Ai To Jaise Ek Bar
Laut Aye Hain Phir Adam Se
Vo Khvab Sare, Shabab Sare
Jo Tere Honthon Pe Mar Mite The
Jo Mit K Har Bar Phir Jiye The
Nikhar Gaye Hain Gulab Sare
Jo Teri Yadon Se Mushkbu Hain
Jo Tere Ushshaq Ka Lahu Hain
Ubal Pare Hain Azab Sare
Malal-E-Ahaal-E-Dostan Bhi
Khumar-E-Agosh-E-Mahavashan Bhi
Gubar-E-Khatir K Bab Sare
Tere Hamare
Saval Sare, Javab Sare
Bahar Ai To Khul Gaye Hain
Naye Sire Se Hisab Sare

Aye Kuch Abr Kuch Sharab Aye

Aye Kuch Abr Kuch Sharab Aye
Us K Bad Aye Jo Azab Aye

Bam-E-Mina Se Mahtab Utre
Dast-E-Saqi Main Aftab Aye

Har Rag-E-Khun Main Phir Charagan Ho
Samne Phir Wo Benaqab Aye

Umr K Har Waraq Pe Dil Ko Nazar
Teri Meher-O-Wafa K Bab Aye

Kar Raha Tha Gam-E-Jahan Ka Hisab
Aj Tum Yad Behisab Aye

Na Gai Tere Gam Ki Sardari
Dil Main Yun Roz Inqalab Aye

Jal Uthe Bazm-E-Gair K Dar-O-Bam
Jab Bhi Ham Khanamankharab Aye

Is Tarah Apni Khamashi Gunji
Goya Har Simt Se Jawab Aye

‘Faiz’ Thi Rah Sar Basar Manzil
Ham Jahan Pahunche Kamayab Aye

Aiye Hath Uthayen Ham Bhi

Aiye Hath Uthayen Ham Bhi
Ham Jinhen Rasm-E-Dua Yad Nahin
Ham Jinhen Soz-E-Mohabbat K Siwa
Koi But, Koi Khuda Yad Nahin

Aiye Arz Guzaren Ki Nigar-E-Hasti
Zahar-E-Imaroz Main Shirini-E-Fardan Bhar De
Wo Jinhen Tabe Garanbari-E-Ayyam Nahin
Unki Palkon Pe Shab-O-Roz Ko Halka Kar De

Jinki Ankhon Ko Rukh-E-Subh Ka Yara Bhi Nahin
Unki Raton Main Koi Shama Munawwar Kar De
Jin K Qadamon Ko Kisi Rah Ka Sahara Bhi Nahin
Unki Nazron Pe Koi Rah Ujagar Kar De

Jinka Din Pairavi-E-Kazbo-Riya Hai Unko
Himmat-E-Kufr Mile, Jurat-E-Tahaqiq Mile
Jink Sar Muntazir-E-Teg-E-Jafa Hain Unko
Dast-E-Qatil Ko Jhatak Dene Ki Taufiq Mile

Ishq Ka Sarr-E-Nihan Jan-Tapan Hai Jis Se
Aj Iqrar Karen Aur Tapish Mit Jaye
Harf-E-Haq Dil Main Khatakta Hai Jo Kante Ki Tarah
Aj Izhar Karen Or Khalish Mit Jaye

Ab Wahi Harf-E-Junun Sab K Zuban

Ab Wahi Harf-E-Junun Sab K Zuban Thahri Hai
Jo Bhi Chal Nikli Hai Wo Bat Kahan Thahri Hai

Aj Tak Shaikh K Ikram Main Jo Shay Thi Haram
Ab Wahi Dushman-E-Din Rahat-E-Jan Thahri Hai

Hai Khabar Garm K Phirta Hai Gurezan Naseh
Guftagu Aj Sar-E-Ku-E-Butan Thahri Hai

Hai Wahi Ariz-E-Laila Wahi Shirian Ka Dahan
Nigah-E-Shauq Ghari Bhar Ko Yahan Thahri Hai

Wasl K Shab Thi To Kis Darja Subak Guzri Hai
Hijr K Shab Hai To Kya Sakht Garan Guzri Hai

Bikhri Ek Bar To Hath Ai Kab Mauj-E-Shamim
Dil Se Nikli Hai To Kab Lab Pe Fugan Thahri Hai

Dast-E-Sayyad Bhi Ajiz Hai Kaf-E-Gulchin Bhi
Bu-E-Gul Thahri Na Bul-Bul K Zaban Thahri Hai

Ate Ate Yun Hi Dam Bhar Ko Ruk Hogi Bahar
Jate Jate Yun Hi Pal Bhar Ko Khizan Thahri Hai

Ham Ne Jo Tarz-E-Fugan K Hai Qafas Main Ijad
“Faiz” Gulshan Main Wo Tarz-E-Bayan Thahri Hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...