Bol K Lab Azad Hain Tere

Bol K Lab Azad Hain Tere
Bol Zaban Ab Tak Teri Hai

Tera Sutawan Jism Hai Tera
Bol K Jan Ab Tak Teri Hai

Dekh K Ahangar K Dukan Main
Tund Hain Shole Surkh Hai Ahan

Khulne Lage Quflon K Dhane
Phaila Har Ek Zanjir Ka Daman

Bol Ye Thora Waqt Bahot Hai
Jism-O-Zaban K Maut Se Pahle

Bol K Sach Zinda Hai Ab Tak
Bol Jo Kuch Kahna Hai Kah Le

Bahar Ai To Jaise Ek Bar

Bahar Ai To Jaise Ek Bar
Laut Aye Hain Phir Adam Se
Vo Khvab Sare, Shabab Sare
Jo Tere Honthon Pe Mar Mite The
Jo Mit K Har Bar Phir Jiye The
Nikhar Gaye Hain Gulab Sare
Jo Teri Yadon Se Mushkbu Hain
Jo Tere Ushshaq Ka Lahu Hain
Ubal Pare Hain Azab Sare
Malal-E-Ahaal-E-Dostan Bhi
Khumar-E-Agosh-E-Mahavashan Bhi
Gubar-E-Khatir K Bab Sare
Tere Hamare
Saval Sare, Javab Sare
Bahar Ai To Khul Gaye Hain
Naye Sire Se Hisab Sare

Aye Kuch Abr Kuch Sharab Aye

Aye Kuch Abr Kuch Sharab Aye
Us K Bad Aye Jo Azab Aye

Bam-E-Mina Se Mahtab Utre
Dast-E-Saqi Main Aftab Aye

Har Rag-E-Khun Main Phir Charagan Ho
Samne Phir Wo Benaqab Aye

Umr K Har Waraq Pe Dil Ko Nazar
Teri Meher-O-Wafa K Bab Aye

Kar Raha Tha Gam-E-Jahan Ka Hisab
Aj Tum Yad Behisab Aye

Na Gai Tere Gam Ki Sardari
Dil Main Yun Roz Inqalab Aye

Jal Uthe Bazm-E-Gair K Dar-O-Bam
Jab Bhi Ham Khanamankharab Aye

Is Tarah Apni Khamashi Gunji
Goya Har Simt Se Jawab Aye

‘Faiz’ Thi Rah Sar Basar Manzil
Ham Jahan Pahunche Kamayab Aye

Aiye Hath Uthayen Ham Bhi

Aiye Hath Uthayen Ham Bhi
Ham Jinhen Rasm-E-Dua Yad Nahin
Ham Jinhen Soz-E-Mohabbat K Siwa
Koi But, Koi Khuda Yad Nahin

Aiye Arz Guzaren Ki Nigar-E-Hasti
Zahar-E-Imaroz Main Shirini-E-Fardan Bhar De
Wo Jinhen Tabe Garanbari-E-Ayyam Nahin
Unki Palkon Pe Shab-O-Roz Ko Halka Kar De

Jinki Ankhon Ko Rukh-E-Subh Ka Yara Bhi Nahin
Unki Raton Main Koi Shama Munawwar Kar De
Jin K Qadamon Ko Kisi Rah Ka Sahara Bhi Nahin
Unki Nazron Pe Koi Rah Ujagar Kar De

Jinka Din Pairavi-E-Kazbo-Riya Hai Unko
Himmat-E-Kufr Mile, Jurat-E-Tahaqiq Mile
Jink Sar Muntazir-E-Teg-E-Jafa Hain Unko
Dast-E-Qatil Ko Jhatak Dene Ki Taufiq Mile

Ishq Ka Sarr-E-Nihan Jan-Tapan Hai Jis Se
Aj Iqrar Karen Aur Tapish Mit Jaye
Harf-E-Haq Dil Main Khatakta Hai Jo Kante Ki Tarah
Aj Izhar Karen Or Khalish Mit Jaye

Ab Wahi Harf-E-Junun Sab K Zuban

Ab Wahi Harf-E-Junun Sab K Zuban Thahri Hai
Jo Bhi Chal Nikli Hai Wo Bat Kahan Thahri Hai

Aj Tak Shaikh K Ikram Main Jo Shay Thi Haram
Ab Wahi Dushman-E-Din Rahat-E-Jan Thahri Hai

Hai Khabar Garm K Phirta Hai Gurezan Naseh
Guftagu Aj Sar-E-Ku-E-Butan Thahri Hai

Hai Wahi Ariz-E-Laila Wahi Shirian Ka Dahan
Nigah-E-Shauq Ghari Bhar Ko Yahan Thahri Hai

Wasl K Shab Thi To Kis Darja Subak Guzri Hai
Hijr K Shab Hai To Kya Sakht Garan Guzri Hai

Bikhri Ek Bar To Hath Ai Kab Mauj-E-Shamim
Dil Se Nikli Hai To Kab Lab Pe Fugan Thahri Hai

Dast-E-Sayyad Bhi Ajiz Hai Kaf-E-Gulchin Bhi
Bu-E-Gul Thahri Na Bul-Bul K Zaban Thahri Hai

Ate Ate Yun Hi Dam Bhar Ko Ruk Hogi Bahar
Jate Jate Yun Hi Pal Bhar Ko Khizan Thahri Hai

Ham Ne Jo Tarz-E-Fugan K Hai Qafas Main Ijad
“Faiz” Gulshan Main Wo Tarz-E-Bayan Thahri Hai

Tasvir Teri Dil Mera Bahala Na Sakegi

Tasvir Teri Dil Mera Bahala Na Sakegi
Ye Teri Tarah Mujh Se To Sharma Na Sakegi

Main Bat Karunga To Ye Khamosh Rahegi
Sine Se Laga Lunga To Ye Kuch Na Kahegi
Aram Vo Kya Degi Jo Tarpa Na Sakegi

Ye Ankhen Hain Tahari Huin Chanchal Vo Nigahen
Ye Hath Hain Sahme Huye Aur Mast Vo Bahen
Parchai To Insan K Kam A Na Sakegi

In Honthon Ko “Faiyyaz” Main Kuch De Na Sakunga
Is Zulf Ko Main Hath Main Bhi Le Na Sakunga
Uljhi Hui Laton Ko Ye Sulajha Na Sakegi

Takra Hi Gai Meri Nazar Un Ki Nazar Se

Takra Hi Gai Meri Nazar Un Ki Nazar Se
Dhona Hi Para Hath Mujhe Qalb-O-Jigar Se

Izhar-E-Mohabbat Na Kiya Bas Isi Dar Se
Aisa Na Ho Gir Ja Un Kahin Un Ki Nazar Se

Ai Zauq-E-Talab Josh-E-Junun Ye To Bata De
Jana Hai Kahan Aur Ham Aye Hain Kidhar Se

‘Fayyaz’ Ab Aya Hai Junun Josh Pe Apna
Hansta Hai Zamana Main Guzarta Hun Jidhar Se

Na Tum Mere Na Dil Mera Na( Jan-E-Natavan)

Na Tum Mere Na Dil Mera Na Jan-E-Natavan Meri
Tasavur Main Bhi A Sakti Nahin Majaburiyan Meri

Na Tum Aye Na Chain Aya Na Maut Ai Shab-E-Vada
Dil-E-Muztar Tha Main Tha Aur Thi Betabiyan Meri

Abas Nadaniyon Par Ap Apni Naz Karte Hain
Abhi Dekhi Kahan Hain Ap Ne Nadaniyan Meri

Ye Manzil Ye Hasin Manzil Javani Nam Hai Jis Ka
Yahan Se Aur Age Barhna Ae Umr-E-Ravan Meri

Kam Nahin Meri Zindagi K Liye

Kam Nahin Meri Zindagi K Liye
Chain Mil Jaye Do Ghari K Liye

Ai Dil-E-Zar Kaun Hai Tera
Kyon Tarapta Hai Yun Kisi Ke Liye

Kitne Saman Kar Liye Paida
Itni Choti Si Zindagi Ke Liye

Aisa ‘Faiyyaz’ Gam Ne Ghera Hai
Lab Taras Hi Gaye Hansi Ke Liye

Hamain Koi Gam Nahin Tha (Gam-E-Ashiqi )

Hamain Koi Gam Nahin Tha Gam-E-Ashiqi Se Pahle
Na Thi Dushmani Kisi Se Teri Dosti Se Pahle

Hai Ye Meri Bad Nasibi Tera Kya Qasur Is Main
Tere Gam Ne Mar Dala Mujhe Zindagi Se Pahle

Mera Pyar Jal Raha Hai Ai Chand Aj Chup Ja
Kabhi Pyar Tha Hamain Bhi Teri Chandni Se Pahle

Main Kabhi Na Muskurata Jo Mujhe Ye Ilm Hota
K Hazaron Gam Milenge Mujhe Ik Khushi Se Pahle

Ye Ajib Imtehan Hai K Tumhi Ko Bhulana Hai
Mile Kab The Is Tarah Ham Tumhen Bedili Se Pahle
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...