Un K Ek Jan-Nisar Ham Bhi Hain

Un K Ek Jan-Nisar Ham Bhi Hain
Hain Jahan Sau-Hazar Ham Bhi Hain

Tum Bhi Bechain Ham Bhi Hain Bechain
Tum Bhi Ho Beqarar Ham Bhi Hain

Ai Falaq Kah To Kya Irada Hai
Aish K Khvastagar Ham Bhi Hain

Shahar Khali Kiye Dukan Kaisi
Ek Hi Vada-Khvar Ham Bhi Hain

Sharm Samajhe Tere Tagaful Ko
vah! Kya hoshiyar ham bhi hain

Tum Agar Apni Khu K Ho Mashuq
Apne Matlab K Yar Ham Bhi Hain

Jis Ne Chaha Phansa Liya Hamko
Dil-Baron K Shikar Ham Bhi Hain

Kaun Sa Dil Hai Jis Main Dag Nahin
Ishq Ki Yadgar Ham Bhi Hain

Tumhare Khat Main Naya Ik Salam Kis Ka Tha

Tumhare Khat Main Naya Ik Salam Kis Ka Tha
Na Tha Raqib To Akhir Vo Nam Kis Ka Tha

Vo Qatl Kar Ke Har Kisi Se Puchte Hain
Ye Kam Kis Ne Kiya Hai Ye Kam Kis Ka Tha

Vafa Karenge Nibhayenge Bat Manenge
Tumhen Bhi Yad Hai Kuch Ye Kalam Kis Ka Tha

Raha Na Dil Main Vo Be-Dard Aur Dard Raha
Muqim Kaun Hua Hai Maqam Kis Ka Tha

Na Puch-Pach Thi Kisi Ki Na Av-Bhagat
Tumhari Bazm Main Kal Ehtamam Kis Ka Tha

Hamare Khat Ke To Purze Kiye Parha Bhi Nahin
Sun Jo Tum Ne Ba-Dil Vo Payam Kis Ka Tha

Inhin Sifat Se Hota Hai Admi Mashhur
Jo Lutf Ap Hi Karte To Nam Kis Ka Tha

Guzar Gaya Vo Zamana Kahen To Kis Se Kahen
Khayal Mere Dil Ko Subah-O-Sham Kis Ka Tha

Har Ek Se Kahte Hain Kya “Dag” Bevafa Nikla
Ye Puche In Se Koi Vo Gulam Kis Ka Tha

Sitam Hi Karna Jafa Hi Karna Nigah-E-Lutf Kabhi Na Karna

Sitam Hi Karna Jafa Hi Karna Nigah-E-Lutf Kabhi Na Karna
Tumhen Qasam Hai Hamare Sar Ki Hamare Haq Main Kami Na Karna

Kahan Ka Ana Kahan Ka Jana Vo Jante Hi Nahin Ye Rasmain
Vahan Hai Vade Ki Bhi Ye Surat Kabhi To Karna Kabhi Na Karna

Hamari Mayyat Pe Tum Jo Ana To Char Ansu Baha K Jana
Zara Rahe Pas-E-Abaru Bhi Kahin Hamari Hansi Na Karna

Vo Ik Hamara Tariq-E-Ulfat Ki Dushmanon Se Bhi Mil K Chalna
Ye Ek Sheva Tera Sitamagar Ki Dost Se Dosti Na Karna

Rasm-E-Ulfat Sikha Gaya Koi

Rasm-E-Ulfat Sikha Gaya Koi
Dil Ki Duniya Pe Cha Gaya Koi
Ta Qayamat Kisi Tarah Na Bujhe
Ag Aisi Laga Gaya Koi
Dil Ki Duniya Ujar Si Kyun Hai
Kya Yahan Se Chala Gaya Koi
Vaqt-E-Rukhsat Gale Laga Kar “Dag”
Hansate Hansate Rula Gaya Koi

Ranj Ki Jab Guftagu Hone Lagi

Ranj Ki Jab Guftagu Hone Lagi
Ap Se Tum Tum Se Tu Hone Lagi

Chahiye Paigamabar Dono Taraf
Lutf Kya Jab Du-Ba-Du Hone Lagi

Meri Rusawai Ki Naubat A Gai
Unki Shohrat Qu-Ba-Qu Hone Lagi

Nazar Bar Gai Hai Is Qadar
Arzu Ki Arzu Hone Lagi

Ab To Mil Kar Dekhiye Kya Rang Ho
Phir Hamari Justaju Hone Lagi

‘Dag’ Itraye Hue Phirate Hain Ap
Shayad Unki Abaru Hone Lagi

Boy & Girl Coversation

Boy:- Hey..♥
Girl:- Yeah..
How are you..♥

Boy:- I am fine..♥
Can you make My Biggest dream
come true ?
You are the only one Who can
does..♥..
.
.
.
Girl:- Sure..♥ what’s your
dream..??

Boy:- I just want your one
signature darling… please…
Girl:- Don’t be sad baby,
where you want my signature. ?
.
.
.
Boy:- On Our ”Marriage Certificate..♥♥


Never Make anyone “Very Special”

Never Make anyone “Very Special”
In ur Life.
.
Because
.
Whn They “Change”,

U Don’t “Hate” Them
Instead U Start “HatinG” Urself. ♥ :( :’(



Kya Loat Aao Gay

Chalo Dhondta Hon Koi Aysi Wajha Ka Dil Behal Jaye

Ager Phir Bhi Na Sambhal Paya To Kya Loat Aao Gay?


Romance is when you walk

Romance is when you walk on streets and smile..

You dance alone in your room..

You wait for someone’s call before falling asleep..

You expect someone’s photograph to be yourwallpaper

And a name that stays as your password forever..


Eid Ka Din

==Eid Ka Din==
Is Eid Per
Wo Mere Saath nahi
Magar Wo
Uski Yadain
Us Ki Batain
Sab Mujhe Yaad Hai
Us ne Mujhe
Yaad Kia Hoga
Phir Mere Khialon Mein
Khooye Huey
Tasawar Ke
Kisi Lamhe Mein
Dheeray Se Kaha Hoga
~~~EiD MuBaRaK~~~!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...