Yun Sote-Sote Jaag Jana
Shayad Woh Apna Wajood Chhor Gaya Hai Meri Hasti Mein,
Yun Sote-Sote Jaag Jana Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi…
Mere Anso Apne Anchal Se
Waqat-e-Rukhsat Ponchh Rha Tha Mere Anso Apne Anchal Se
Usko Gham Tha Itna Ke Woh Khud Roona Bhool Gya
Tasvir teri dil mera bahala na sakegi
Tasvir teri dil mera bahala na sakegi
ye teri tarah mujh se to sharma na sakegi
main baat karunga to ye khamosh rahegi
sine se laga lunga to ye kuch na kahegi
aaram wo kya degi jo tadapa na sakegi
ye aankhen hain tahari huin chanchal wo nigahen
ye hath hain sahame huye aur mast wo bahen
parachai to insan ke kam aa na sakegi
in honton ko “faiyyaz” main kuch de na sakunga
is zulf ko main hath mein bhi le na sakunga
ulajhi hui raton ko ye sulajha na sakegi
Labels:
Sad Quoets,
Sad Shayari,
Urdu Poetry,
urdu sad poetry
Ye aur baat teri gali mein na aayen hum
Ye aur baat teri gali mein na aayen hum
lekin ye kya ki shahar tera chod jayen hum
muddat hui hai ku-e-butan ke taraf gaye
aavaragi se dil ko kahan tak bachayen hum
shayad baqaid-e-zist ye saat na aa sake
tum dastan-e-shauq suno aur sunayen hum
benur ho chuki hai bahut shahar ke faza
tarik raston mein kaheen kho na jayen hum
us ke bagair aj bahut jee udas hai
‘jalib’ chalo kaheen se use dhundh layen hum
Subscribe to:
Posts (Atom)