Tasvir teri dil mera bahala na sakegi
ye teri tarah mujh se to sharma na sakegi
main baat karunga to ye khamosh rahegi
sine se laga lunga to ye kuch na kahegi
aaram wo kya degi jo tadapa na sakegi
ye aankhen hain tahari huin chanchal wo nigahen
ye hath hain sahame huye aur mast wo bahen
parachai to insan ke kam aa na sakegi
in honton ko “faiyyaz” main kuch de na sakunga
is zulf ko main hath mein bhi le na sakunga
ulajhi hui raton ko ye sulajha na sakegi