Ye aur baat teri gali mein na aayen hum

Ye aur baat teri gali mein na aayen hum
lekin ye kya ki shahar tera chod jayen hum
muddat hui hai ku-e-butan ke taraf gaye
aavaragi se dil ko kahan tak bachayen hum
shayad baqaid-e-zist ye saat na aa sake
tum dastan-e-shauq suno aur sunayen hum
benur ho chuki hai bahut shahar ke faza
tarik raston mein kaheen kho na jayen hum
us ke bagair aj bahut jee udas hai
‘jalib’ chalo kaheen se use dhundh layen hum

ansoo


Ghairoon Ke Chookhat

Nahe Sajda Kya Hum Ne Kabhe Gairoon Ke Chookhat Par
Hume Jis Ke Zaroorat Ho Khuda Sa Maang Lete Hain

Bharoosa

Doobe Hain Mare Ungliyaan He Mere Khoon Me
Ye Kaanch Ka Tokroon Par Bharoosa Ke Saza Hai

Mohabbat

Mohabbat Hath Ma Pehni Hoi Chore Ke Manind Haai
Sanwarte Ha Khanakte Hai Khanak Kar Toot Jate Hai 

Chand Ka Aks

Jheel Ka Thera Hoa Pani Ma Na Kankar Phenko 
Chand Ka Aks Saja Rakha Ha Bikhar Jaye Ga

Naseeb

Pathar Jinhoo Ne Phenka Un Se Gila Nahe 
Ghar He Mile Thay Kaanch Ka Hum Ko Naseeb Ss

Leihaz e Ishq Na Hota

Leehaz e Ishq Na_a Hota To Tujh Se_y Ranjishei_n Hotei_n
Shikait Sirf Itni Ha_i K Tu Samjha Nahi_n Mujh Ko

Agr Dill haar Baithey Ho

Agr Dill Haar Baithey Ho- Mere Hamdam Muhabbat mein
Fana Kaisi? Baqa Kaisi? Saza Kaisi? Jaza Kaisi?

Maang To Loon

Maang To Loon Mein Tujhe Apni Taqdeer SE Mager                                                                                                                    
 Hum Jaisey Logon Key Laye Iss Zamaney Mein Ab Mo'ojazey Nahin Hote
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...