Zabat e ghar ye kabhi karta hon to farmate hain

Zabat e ghar ye kabhi karta hon to farmate hain,
Ajj kia bat hai barsat nahin hoti hai.

Baarish Thi Bhigi Raat Thi

Baarish Thi Bhigi Raat Thi, Main Bheegta Raha
Qadmon Ke Tere Sab Nishaan Main Khojta Raha

Taufun bardh gia charon taraf had sy ziada

Taufun bardh gia charon taraf had sy ziada
mai apny dil ki khusboen ugalna chathta ho

Thukra saki na andhi kiran ke sawal ko

Thukra saki na andhi kiran ke sawal ko
phela diya hy shab ny sitaron ke jaal ko

Bewafayi ki intehaa kar de


Bewafayi ki intehaa kar de,
Ta’key maloom ho wafaa kya hai..

Tumhare Jessa

Barish Ki Barasti Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par
Mehsus Hua Tum Aaye Ho, Andaaz Tumhare Jesa Tha,

Hawa K Halke Jhonke Ki Jb Aahat Payee Khirki Pr
Mehsus Hua Tum Guzre Ho, Ehsaas Tumhare Jesa Tha,

Mein Ne Girti Boondon Ko Rokna Chaha Haathon Pr
Aik Sard Sa Phir Ehsaas Howa, Wo Lams Tumhare Jesa Th,

Tanha Main Chala Phir Barish Me, Tab Ek Jhonke Ne Saath Diya 
Main Samjha Tum Ho Saath Mere, Wo Saath Tumhare Jesa Tha,

Phir Ruk Gai Wo Barish Bhi Rahi Na Baqi Ahat Bhi
Main Samjha Mujhe Tum Chorr Gaye, Andaz Tumhare Jesa Tha.
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...