Teri be’rukhi se aata hai lutf..

Teri be’rukhi se aata hai lutf,

Tu agar pyar se dekhe to mar jau gi..

Kon jeetey ga un se baton me..

Kon jeetey ga un se baton me,
Jin ki ankhen kalaam karti hon..

Uss zulf ki, us ke lab ki batain..

Uss zulf ki, us ke lab ki batain,
Yaad ayin mujhe, ghazzab ki batain..

Khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai

khwab ke tarah bikhar jane ko jee chahata hai
aisi tanhai ki mar jane ko jee chahata hai
ghar ke vahshat se larazata hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko jee chahata hai
dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko jee chahata hai
kabhi mil jaye to raste ke thakan jag pade
aisi manzil se guzar jane ko jee chahata hai
wohi paiman jo kabhi jee ko khush aaya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko jee chahata hai

Sukun Hi Sukun Hai Khusi Hi Khusi Hai

Na Hara H Ishq Na Dunia Thaki H
Diya Jal Raha H Hawa Chal Rahi H
Sukun Hi Sukun H Khusi Hi Khusi H
Tera Gam H Salamat Mujko Kya Kami H

Shayari on Beauty in Hindi

Tere Hasin Tasavur Ka Aasra Lekar
Dukhon K Kante Main Sare Samet Leta Hun.
Tumara Naam He Kafi H Rahat-E-Jaan Ko
Ghamon Ki Taiz Hawaon Ko Morr Deta Hn.

Ya Rab Gham-E-Hijraan Mein

Ya Rab Gham-E-Hijraan Mein, Itna Tu Kiya Hota
Jo Haath Jiger Per Hai, Woh Dast-E-Dua Hota

Ik Ishq Ka Gham Afat Aur Uss Oe Yeh Dil Afat
Yan Gham Na Diya Hota, Yan Dil Na Diya Hota

Nakaam Tammana,Dil Iss Soch Mein Rehta Hai
Yun Hota Tu Kya Hota, Yun Hota Tu Kya Hota?

Gham Na Kar Zindagi Badi Hai

Gham Na Kar Zindagi Bahut Badi Hai,
Chahat Ki Mehfil Tere Liye Saji Hai,
Bas Ek Baar Muskura Kar Tho Dekh,
Taqdeer Khud Tujhse Milne Bahar Khadi Hai…

Chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale

chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale
teri yaden aa jati hain mujhako rulane sham dhale

teri zulfen in kandhon par tera chehara hathon mein
main ne bhi dekhe hain kitane khvab suhane sham dhale

har din hum se wada karake yun hi agar tadapaoge
ik din yun hi ho jayenge hum bhi divane sham dhale

din ke ujale mein to mana lun lakh yatan se bahala lun
lekin dil ka pagal panchi ek na mane sham dhale

Apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona

apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona
jab bhi rona ho charagon ko bujha kar jina
hath bhi jate huye wo to milakar na gaya
main ne chaha jise sine se laga kar rona
tere divane ka kya hal kiya hai gham ne
muskurate huye logon mein bhi ja kar rona
log pad lete hain chehare pe likhi tahariren
itna dushvar hai logon se chupa kar rona
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...