Aisi Hi Sard Sham Thi Vo Bhi

Aisi Hi Sard Sham Thi Vo Bhi
Jab Vo Mahndi Rachaye Hathon Main
Apni Ahat K Khauf Se Larazan
Surkh Anchal Main Munh Chipaye Hue
Apne Khat Mujh Se Lene Ai Thi
Us Ki Sahmi Hui Nigahon Main
Kitni Khamosh Iltijayen Thin
Us K Chehre Ki Zard Rangat Main
Kitni Majaburiyon K Saye The
Mere Hathon Se Khat Pakarte Hi
Jane Kya Soch Kar Achanak Vo
Mera Shana Pakar Kar Roi Thi
Us K Yaqut Rang Honthon K
Kapkapate Hue Kinaron Par
Saikaron Ankahe Fasane The
Sard Shamon Main Der Tak Aksar
Jab Ye Manzar Dikhai Deta Hai
Ek Lamha Hinai Hathon Se
Mujh Ko Apani Taraf Bulata Hai
Hamnashin Ruth Kar Na Ja Mujh Se
Aisi Hi Sard Sham Thi Vo Bhi

SEO Tags:
Amjad Islam Amjad Fresh Poetry, Amjad Islam Amjad Latest Poetry, Amjad Islam Amjad New Poetry, Amjad Islam Amjad Poetry, Amjad Islam Amjad Romantic Poetry, Amjad Islam Amjad Sad Poetry, Amjad Poetry, Hindi Poetry, Urdu Poetry

Kahne Ki Bat Ho To

Kahne Ki Bat Ho To Use Kah Sunayiye
Jo Dil Pe Ban Rahi Ho, Kyon Kar Dikhayiye
Dunya Ki Ho Hawas To Dil-O-Din Ginwayiye
Yan Khoyiye Bahut-Sa To Kuch Ja K Payiye
Ye Kya K Dil Hai Dair Mein Aur Kabe Mein Maqam
Ho Rahiye Bas Wahin K, Jahan Dil Lagayiye
Gar Jan Ka Zarar Hai Mohabbat Mein Naseho
Ham Jan Hi Se Baithe Hain Bezar Jayiye
Aur Aitabar Khote Hi Apna Raha-Saha
Bas A Gaya Yaqin Hamein, Qasmein Na Khayiye
Hoti Hujum-E-Gam Mein Hai, Kyon Zahar Ki Talash
‘Hali’ Batayen Ap Ko, Gar Kuch Khilayiye

Seo tags,
Altaf Hussain Hali Fresh Poetry, Altaf Hussain Hali Latest Poetry, Altaf Hussain Hali New Poetry, Altaf Hussain Hali Poetry, Altaf Hussain Hali Romantic Poetry, Altaf Hussain Hali Sad Poetry, Hali Poetry, Hindi Poetry, Urdu Poetry

Sanson Ki Zarorat


Meri Chahatain Tumse Alag Kab Hain

Dil Ki Batain Tumse Chupi Kab Hain
Tum Sath Raho Dil Main Dharkan Ki Jaga
Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zarorat Kab Hai

Geet Ki Zaroorat Mehfil Mein Hoti Hai


Geet Ki Zaroorat Mehfil Mein Hoti Hai
Pyar Ki Zaroorat Dil Mein Hoti Hai
Bin Dosti Ke Adhuri Hai Yeh Zindagi
Kyunki Dost Ki Zaroorat Har Pal Mehsus Hoti Hai

Dosti Insan Ki Zaroorat Hai

Dosti Insan Ki Zaroorat Hai

Dilon Pe Dosti Ki Huqumat Hai
Aap Ke Dosti Ki Wajah Se Zinda Hain
Warna Kitno Ko Hamari Zaroorat Hai


Dosti Shayad Zindagi Hoti Hai


Dosti Shayad Zindagi Hoti Hai
Jo Har Dil Mein Basi Hoti Hai
Waise To Jee Lete Hain Sabhi Akele Magar
Phir Bhi Zaroorat Inn Ki Har Kisi Ko Hoti Hai

Zinda Dil Hain Hans Kar Do Ghum Seh Lainge

Zinda Dil Hain Hans Kar Do Ghum Seh Lainge Har Ghum Main Uska Saath Ho Ye Zaroori To Nahi Yoon To Wo Bahut Wafashaar Hain Magar Phir Bhi le Aur Bhi Bhar Jainge Shikast Ke Baad Jeet Har Kadam Pe Wafa Karein Ye Zaroori To Nahi Ho s Yahan Sada Humari Ho Ye Zaroori To Nahi Shiddat-E-Ghum Main Insaan Ro Bhi Daita Hai ke Baad Kisi Aur Ko Dekhein Ye Zaroori T Samne Uska Aanchal Ho Ye Zaroori To Nahi Nazrain Thi Buss Kya Karti Pathar Ho Gayee U so Nahi Hum Ne Humesha Usse Dil Se Chaaha Nahi Woh Bhi Humain Chahe Dil Se Ye Zaroori To

Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana


Wada Karte Hain Dosti Nibhayenge
Koshish Yahi Rahegi Tujhe Na Satyaenge
Zarurat Pade Toh Dil Se Pukarana
Mar Bhi Rahe Honge To Mohlat Lekar Aayenge

Hum gazal mein tera charcha nahi hone dete


hum gazal mein tera charcha nahi hone dete
teri yadon ko bhi rusava nahi hone dete
kuch to hum khud bhi nahi chahate shoharat apni
aur kuch log bhi aisa nahi hone dete
azamaten apne charagon ke bachane ke liye
hum kisi ghar mein ujala nahi hone dete
mujhko thakane nahi deta ye zaroorat ka pahad
mere bache mujhe budha nahi hone dete

Jub Dil Dukha


Jinhein Bhulaney Mein Yaro, Barey Zamaney Lagay

Jub Dil Dukha Tou Wohi Loog Yaad Aney Lagey
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...