Gar lams nahi to lafz bhe bhej!

Gar lams nahi to lafz bhe bhej!
Mein tujh se juda rahoo’n kab tak?

Pehli Muhabbat Yaad Aati Hai. . !

Door ufaq ki tareeki mein
Bijli jab bhi lehraati hai
Shama jalatay lamhay aksar
Kamray k ghup andheray mein
Pehli muhabbat yaad aati hai
Autograph talab karny jab
Koi haseena ghar aati hai
Barri barri aankho’n se jab wo
Dekh k mujh ko sharmati hai
Maazi mein kho jata hoon
Chota sa ho jata hoon
Pehli muhabbat yaad aati hai
Shaam-e-khizaa’n jab tanha tanha
Baagh mein sair ko jata hoon
Kisi udas larki ko jab
Bench pe tanha paata hoon
Janay kyun yaad aa jata hai
Aik khizaa’n ki sham ka manzer
Jab hum dono juda huay they. . !

Hamaray beech ka faasla tou chaar qadam tha. .

Hamaray beech ka faasla tou chaar qadam tha
Tae kiya to sadiyon ki musafat thi
Ujray to hum they is ishq mein
Chehray pe us k saray zamanay ki thakan thi
Muddat baad usey pareshan dekha hai
Aansuon mein doobi na janay kin soch’on mein magan thi
Tum to mujhy faramosh kar gaye they lekin
Tujhy faramosh karny mein ik sadi lagi thi
Aaj gali mein kah raha tha koi k
Wo chorr gai hai jisy ‘Gul’ ko inteha ki lagan thi. .

Koi sawaal jo poochay to kia kahoon us se?

Koi sawaal jo poochay to kia kahoon us se
Bicherney walay! Sabab to bata judai ka. . !

Andesha bi tha or Ehtiaat bi bohat ki..

Andesha bi tha or Ehtiaat bi bohat ki,
Hoty Hoty wo shaks judda ho hi gaya…

Ik baar mil k hum..!

Halaat ka takaza tha ik bar mil key hum..
Bichrey kuch is ada sey key dobara na mil sakey.!!

Mujhy Us Se Muhabbat Hai. .

Wo kehta tha!
Tum aao sheher mera ghaur se, nazdeek se dekho
Yahan k log aur un ki saqafat. . .aur
Kisi ko paa k khonay ki haseen lazzat
Yahan ka rehna, basna, bolna, hansna
Muhabbat k anokhay roop
In ki chaa’on in ki dhoop tum dekho!
Yahan k jazbay boht sachay, boht achay boht masoom hoty hain
Mery dil ne kaha aao samander choo k dekhaingy
Wahan ja kar laga wo sheher mera hai
Wahan sahil bhi mera us pe likhy khuwab mery hain
Samander ki sabhi mauj’on pe mery aks thehery hain
Wo saray log mery hain sabhi manoos chehray hain
Wahab mitt, hawain, phool, pathar tak lagy apny
Magar ik ajnabi c,daimi dil ko kasak is shakhs ne bakhsi
jo aksar tang karti hai, jo mujh se jang krti hai
Boht socha k aisa kyun hua, kaisy hua aakhir
Tou dil ne holay holay se kaha ye sab to hona tha
Tumhain us shakhs se milna, usey pana, khona tha
Azal se is tarha hota chala aya
Anokha bhaid hai is ko kisi ne kab, kahan paaya
Bus itni baat tum ko yaad rakhni hai
Tumhain us se muhabbat hai
Laga chaar’on taraf fitrat pukaar uthi
Tumhain us se muhabbat hai, Tumhain us se muhabbat hai
Mery dil ne mery honton ne bhi iqraar ki manzil choo kar
kah diya Yak Dam
Mujhy Us se Muhabbat Hai
MUJHY US SE MUHABBAT HAI. . !

Muhabbat hai chubhan dil ki. . !

Muhabbat sirf lifazi nahi, ye is se barh kar bhi boht kuch hai
Muhabbat hai chubhan dil ki. . !
kisi ko kab, kahan ye raas hoti hai
Magar phir bhi
Muhabbat khaas hoti hai
Musalsal intehaa’n hai ye
Muhabbat karny walay imteha’n daity hain jeewan bhar
Nateejay ki kabhi parwa nahi karty
muhabbat dard hoti hai magar ye khud bht be-dard hoti hai
Bicharna hi agar likha hai muqaddar mein
Tou is mein dair kahay ki?
Chalo is pal isi lamhay bichartay hain . . !

Kisi Lerki Say Mat Kehna

Kisi Lerki Say Mat Kehna
Kay Us Say Pyar Kertay Ho
Ager Ek Bay Dhayani Main
Yeah Iqrar Ker Bethay
Kisi Say Pyar Ker Bethay
To Phir Wadoon Ki DoRoon Main
Ualajh Ker Toot Jao Gay
Tumharay Pyar Ka Us Ko
Ager Ehsaas Ho Jayay
To Ho Sakta Hai Tum Us Ka
Rang-O-Roop Ban Jao
Mohabbat Kay Safar Main Shayad
Aaisa Morr Aajayay
Kay Tum Narazgi Ka
BerMila Izhaar Ker Bethay
Koi Inkaar Ker Bethay
To Yeah Samjhoo Koi Sheesha,
Koi Dil Toot Jaye Ga
Kay In Kay Dil Bohat Nazuk,
Bohat Kumzoor Hotay Hain
Kisi Lerki Kay Dil Ka Tootna Bhi
Mout Hoti Hai
Kisi larkii se na kehna
K Us say Pyar karte ho

Aik aansu meri palkon pe numanyan

Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi
Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi
Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi
Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi
Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal
Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi
Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai
Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi
Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai
Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi
Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom
Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi
Jabr Ke Zulm Laye huway san.natay mein
Koi shorsh koi halchal koi toofaan hi sahi
Yeah bhe kya kam hai ke hum chonktay hain jagtay hain
Zindegi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi
Bhairriyon ko nah yeah tareekh khula choray gi
Bhairriye asmat-e-aadam ke nigehbaan hi sahi
Zulm har rang mein pehchaan liya jaye ga
Tera daman hi sahi mera girebaan hi sahi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...