Bicharrne waley,
Chale jo ho to bataa ke jao,
Ke kitni shaamain udaas ankhon mein kaatni hain,
Kitni subhen akele pan mein guzaarni hain,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke kitne suraj,
Azaab raston ko dekhna hai,
Ke kitne mahtaab sard raton ki wusat’on se
nikalney hain,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke chand raton mein
Waqt kese guzaarna hai,
Khamosh lamhon mein tujh ko,
Kese pukaarna hai,
Bata ke jao ke kitne lamhe,
Shumaar karne hain hijrton ke,
Ke kitne mausam judayion mein,
Guzaarney hain,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke panchiyon ne,
Akele pan ka sabab jo pucha,
To kya kahoon ga,
Kisi ne rastey mein rok kar,
Yoon mujhse poocha,
Ke pichle mausam main saye saye,
Jo ajnabi tha kahan geya hai,
To kya kahoon ga,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke mein kis se,
Tera gilla karoon ga,
Bicharr ke tujhse habib,
Kis se milla karoon ga,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke ankh barsi,
To kon moti chunaa kare ga,
Udaas lamhon mein,
dil ki dharrkan suna karega,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke mausamon ko,
Payyaam dene hain ya nahin,
Falak ko, taaron ko, Jugnu’on ko,
Sallam dene hain ya nahin,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke kis pe hai aitbaar karna,
Ke kis ki baton pe be’niazi,
Ke silsley ikhtyaar karna,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke ab rawayion ki
Chaal kya ho,
Jawab kya ho, Sawaal kya ho,
Urooj kya ho, Zawaal kya ho,
Nigaah rukhsaar, zulf chehra,
Niddhaal kya ho,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke meri halat pe,
Chandni khilkhila pari to kya karon ga,
Bata ke jao ke meri soorat pe
Teergi muskura parri to,
Mein kya karoon ga,
Bata ke jao,
Bata ke jao ke tumse bicharr ke,
Yeh waqt kese guzaarna hai,
Bicharr ke tum se yeh waqt,
Kese guzaarna hai,
Ujaarna hai, nikhaarna hai,
Badan ko kitna sanwaarna hai,
Bata ke jao,
Bicharrne waley,
Chale jo ho to,
bataa ke jao,
bataa ke jao..